WAH WAH Nagpur...
Woh ITWARI Market ka sama, woh BAJAJ NAGAR ki chaat,
Woh SOFTCELL ki ice cream, Wah usme thi kuch baat.
Woh HALDIRAM ki mithai, woh REDDY ka south indian,
Woh YASHWANT STADIUM ki pav bhaji aur TELANGKHEDI ka samosa.
Woh DP ki masti, woh FUTALA ki hawa,
Woh GANPATI ki raunak aur MOMINPURA ka sama.
Woh January ki kadake ki sardi, woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute the they paseeney.
Woh holi ki masti, woh doston ki toli,
Woh MAHAL ka mahol, woh CIVIL LINES ki sadke,
Woh HISLOP ka nazara, Wah uske kya kehene.
Woh ladkiyon ka ithlana,Wah ladko ka mastata.
Woh BIKE's ki race , woh LAD ki ladkiyan.
Woh HITLER'S DEN ka Chinese,woh R N B ka style
Woh school ki life aur woh College ki Zindagi,
Woh VNIT mein bhatkna,our Woh BUTTE WALO ke thele.
Woh GOKULPETH ka market,wo highway ke dhabe
Wo SHANKAR NAGAR KI TAPRI , wo NAGPUR station………
Itna sab keh diya par dil kehta hai aur bhi kuch kahoon
Wo shehar hain apna, jiska naam hai N A G P U R
No comments:
Post a Comment