Friday, August 17, 2012

Alwida Alwida Alvida Hai,

Alwida Alwida Alvida Hai,

Mah e Ramzan bas alwada hai.

Din teray aanay say motbar thay,
Noor mein dubay shaam o sehar they.
Teray janay say dil ro raha hai,
Mah e Ramzan bas alvida hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramazan bass alwida hai.

Sehri iftar qir’at tarawi,
Aur azaan e namazein o tasbeeh.
Yeh saman noori tujh say mila hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mahe Ramadan bass alwida hai.

Rehmatoon ka tu pegham laya,
barkatoon ka tu inaam laya.
Rutba aala o afzal tera hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramadhan bas alwida hai.

Jaam rehmat kay tunay pilaye,
Gul muradoon kay tuney khilaye.
Tu juda hum say ab ho raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramdhan bas alwida hai.

Humko baykal tu paye ga kab tak,
Gar rahe zinda aglay baras tak.
Phir milein gay jo huqmay khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

 Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramadhaan bass alwida hai.

Chal diya hai tu jo Rab ki janib,
Ahl e Imaan kay purnam hain Qalib.
Qalb e Ishrat bhi gham say bhara hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramazaan bass alwida hai.

Humko bekal tu payega tab tak
Gar rahay zinda agle baras tak.
Phir milengay jo huqm e Khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramzan bas alwida hai.

Naat Khawan: Syed Fasihuddin Soharwardi

No comments:

Post a Comment